women-fashion-in-islam

Anonymous asked 2 years ago

Question: Kia orat apne ghar me hr kisam ka fashion kr skti ha?

1 Answers
Mufti Muhammad Shoaib Sahab Staff answered 2 years ago

Answer: Salam ,
            Aurat ko ghar mein ya bahar aisa Faishon karne ki ijazat nahi jisay Shariat ne Na jaiz qarar diya ho. Maslan normal situation me eyebrows banwana, mardo ki tarah hair cutting karwana ya un products ka istemal karna keh jin ki production me haram ashiya ka istimal kiya jaye ya phir aisi beauty products keh jo ebadaat ki adaigi mein rukaawat banen, maslan Nail Polish lagana keh yeh wudhu ki raah mein rukawat banta hy, inka istimaal mana hy. Is kay elawa ghr me rehty huay degar Fashions karna Jaiz hy.